learn c programming language in hindi
learn c programming easy way

Learn C Programming Language in Hindi – C Language Full tutorial-  C programming language Ek most and popular programming language hai kuyki jo bhi computers operating system hai like UNIX unki mostly coding c programming language me he hai or jo bhi computers ke software develop hote hai un sabhi software me mostly coding C programming ki hoti hai. Iss post me hum C Programming Language and history ke baare me jaanege.

Learn C Programming Language in Hindi – C Language Full tutorial

#What is C Programming language? (C language tutorial in Hindi.)

C language popular ku hai? – First to yah Ek asi language hai jo Electronic hardware se easily interconnect hoti hai and unko better control karti hai that’s why isse operating system design hote hai and Ek operating system ki working bhi yahi hoti hai ki hardware ko control karna and hardware ko apne according koi bhi function perform karwana. its a very efficiency and structure language and better control that’s why isko jayada use kiya jata hai like application development and operating system design. there is only 32 keywords so c is very easy to learn.

#C Programming Language History in Hindi?

jayada in depth me na jaate hue aapko smjane ki kosis karuga C language ko unix operating system redevelop karne ke liye banaya gaya tha. C language ko 1972 me Dennis M. Ritchie ne Bell Telephone Laboratories named place par create kiya tha. usse phale unix operating system B language me likha gaya tha or kyunki c language bahut se data type provide karti hai to isliye c language good for UNIX operating system, c language ke syntax ko bahut se programming languages ne follow kiya hai, syntax basically – The syntax of the C programming language, the rules governing writing of software in the language. just C language ka improved version “#C” hai.

#Features of C Programming Language in Hindi?

  • Simple
  • Machine Independent or Portable
  • Mid-level programming language
  • structured programming language
  • Rich Library    
  • Memory Management
  • Fast Speed
  • Pointers
  • Recursion
  • Extensible
  • case sensitive language
  • Portability
  • Powerful
  • Platform dependent
  • Structure oriented

#limitations of c programming language In Hindi?

  • C language me jo bhi code hote hai unme means C langugae re-usability ko support nhi karti.
  • C language me exceptions ko run time me handle nhi kiya ja sakta.
  • C language me namespaces ka koi bhi concept nahi hota.
  • Different types ke programmers ke code ko Ek hi project me use karna thoda hard hai.
  • C language me object oriented concepts nahi hota.
  • C language me run time type checking nahi hoti.
  • C language me run time me koi bhi variable ke data type ko identify karne me muskil hoti hai like float data type me integer value daali ja sakti hai.

#What is the uses of C programming language in Hindi?

  • mostly operating system C language me he design kiye jate hai yaa unki mostly coding C language me hi hoti hai.
  • Graphics packages and operating system ke drivers design karne me bhi C language ka use hota hai.
  • C language ko compilers and assemblers design karne me bhi use kiya jata hai.
  • Aur bhi bahut se software’s design kiye jate hai like-
  • Text editors.
  • Print Spoolers.
  • Network Drivers.
  • Modern Programs.
  • Data bases.
  •  Language Interpreters.
  •  Utilities Etc.

#Why C Programming language is best for beginners In Hindi?

Agar aap abhi programming me beginner hai to aapko sabse phale C language hi sikhne chahiye kuki isme bahut se simple simple programs hote hai and agar aap as a future me programming me he aage jana chahte hai to aapko pura din programming ko nhi to kam se kam 3 se 4 hours dene chahiye, different- different program ko run karwa kar dekhna chaiye kuch logo ye maante hai ki Ek beginners ko HTML language sikhni chaiye but HTML me to kuch bhi nhi hai sikhne ko only ENG ke word hai jinhe as a tag use karke wasa ka wasa hi word type ho jayega like muje Ek simple TEXT ko ya font ko bold karna hai to mai usse likhuga <b>hello</b> simple, C language me aapko EK baar pakad strong ho gai to aapko baaki programming language sikhne se koi nhi rok sakta.

Guys C language me bahut kuch hai likhne ko but ye post bahut long ho jayegi isliye mai iss post ko yahi end karta hu next part jaldi he post karunga.

see also: